Kya yahi hai zindgaani

Raat ki thandi hawa ke jhokon ke saath, Oos ki shital bundo ke Saath, Jab ek nanha phool nikalta hai, Duniya kitni achchi hai wo dekhne lgta hai, Chaand ki chadani use bhaa jati hai, Aur duniya dekhne ki chahat usme aa jati hai, Lekin use kya pata tha ki ye raina hai, Jyada din nhi use Yaha rahena hai, Jab Suraj ki kirane padti hai us pr, Kahene lgta hai wo uchal uchal kr, Kisne mujh pr ye sone ki kirane hai daali, Kisne mujhe aur duniya dikha daali, Kitna Khush tha wo apne bachpan me, Ji raha tha aur jine ki tadpan me, Achanak usne upvan me Dekha ek maali, Uske chehere ki chamak thi dekhne wali, Nanne ne samjha ki wo bhi ek parinda hoga, Use kya pata tha ki wo upvan Ka darinda hoga, Usne apne sathiyon ko khud se bichudta Dekha, Apne se bade phoolo ko bikharta hua Dekha, Jab kuch samjh na Aaya to laga puchne aie ishwaar bata, Kya murjha Jana hi hai inka bhagya Ka Likha, Kya ek din yahi haal Mera bhi hoga, Kya mujhe bhi isi tarah duniya se Jana hoga, ...